Monday, 26 September 2011
TOMATO FIGHT IN SPAIN
shaaid hi koi mulk aisa ho jahan khano me tomato use na hota ho lakin spain aik aisa mulk he jahan tomatos k tehwaar manayya jata he is festival ko La Tomatina festival kaha jata he ye tehwaar har saal august k last wednesday ko manaya jata he is ocean per spain k city bunol k roads per jama ho jate he or ek doosre per hazaaron metric ton tomatos ki baarish karte he tomatos k festival ki taareek bohat puraani he tomatos ki rain taqreeban aik ganta jaari rehti he jis se insan se le kar har cheez surkh ho jati he aisa lagta he jese har insan khoon ki holi khail raha ho is festival me shareek afraad banlo daryya me nahhate he jis se daryya ka paani bi surkh ho jata he or jo afraad daryaa tak pohanchne me laite ho jate he un k zime sarkon ki safai ka kaam laga dya jata he or phir se spain ka city apni real condition me ajata he
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment